Saturday, June 20, 2009

sufi ghulam mustafa ki shayyiri

nazar mein dhal ke ubharte hain dil ke afsane
ye aur baat hai duniya nazar na pehchane
ye bazm dekhi hai meri nigah ne ke jahan
bagaiir shamma bhi jalte rahe hain parwane
ye kya bahar ka joban hai kya nashat ka rang
fasurda mai_kade wale uddas mai_khane
mere nadeem teri chshm-e-iltafaat ki khaiir
bigad bigad ke sanwarte gaye hain afsane
ye kis ki chshm-e-fusunsaaz ka karishma hai
ke toot kar bhi salamat hain dil ke buutkhane

No comments:

Post a Comment

wel come