gham-e-jaanaan ko gham jaane huye hain
khirad vaale bhii diwaane huye hain
idhar aa ae khushii, ae mukhbir-e-gham
tujhe ham khuub pahchaane huye hain
bahut khush hain meri gustaakhion par
ba-zaahir jo buraa maane huye hain
khudaa samjhaane vaalon se bachaaye
ham ab sach-much hi diwaane huye hain
main naa-vaaqif nahin dair-o-haram se
ye viraane mere chhaane huye hain
khade hain mai-kade ke dar pe zaahid
na jaane dil mein kya thane huye hain
'khumar' iss daur mein zikr-e-muhbbat
yaqinan aap diwaane huye hain
No comments:
Post a Comment