Khud dil mein reh ke aankh se parda kare koi
haan lutf jab hai paa ke bhi dhuundha kare koi
tum ne toh hukm-e-tark-e-tamnna suna diya
kis dil se aah tark-e-tamnna kare koi
duniya laraz gayi dil-e-hiraman_nasiib ki[nasiib ke maare hue]
iss tarah saaz-e-aish na chheda kare koi
mujhko ye aarzu vo uthaayen naqaab Khud
unnko ye intazaar taqaza kare koi
rangini-e-naqaab mein gum ho gayi nazar
kya be-hijaabiyon ka taqaza kare koi
ya toh kisi ko zurrat-e-diidar hi na ho
ya phir meri nigah se dekha kare koi
hoti hai iss mein husn ki tauhin ae 'majaz'
itna na ahal-e-ishq ko rusva kare koi
No comments:
Post a Comment