januun-e-shauq ab bhi kam nahin hai
magar vo aaj bhi barham nahin hai
bahut mushkil hai duniya kaa sanvarna
teri zulfon ke pech-o-kham nahin hai
bahut kuch aur bhi hai jahan mein
ye duniya mahaz gham hi gham nahin hai
meri barbadiyon ke hamnashinon
tumhen kya khud mujhe bhi gham nahin hai
abhi bazm-e-tarab se kya uthu main
abhi toh aankh bhi pur_nam nahin hai
'majaz' ek badaakash toh hai yaqinan
jo ham sunte thay vo aalam nahin hai
No comments:
Post a Comment