mujhe sahal ho gayin manzilen vo hawa ke rukh bhi badal gaye
tera haath haath mein aa gaya ke chiragh raah mein jal gaye
vo lajaaye mere savaal par ke utha sake na jhuka ke sar
uddi zulf chehre pe iss tarah ke shabon ke raaz machal gaye
vahi baat jo vo na kar sake mere sher-o-nagma mein aa gayi
vahi lab na main jinhen chhu saka qadah-e-sharab mein dhal gaye
unhen kab ke raas bhi aa chuke teri bazm-e-naaz ke hadse
ab uthe ke teri nazar phire jo gire thay gir ke sambhal gaye
mere kaam aa gayin aakhirash yahi kaavishen yahi garadishen
badahin iss qadar meri manzilen ke qadam ke khaar nikal gaye
No comments:
Post a Comment