nigah-e-saaqi-e-na_meharban ye kya jaane
ki tuut jaate hain Khud dil ke saath paimane
mili jab unnse nazar bas raha tha ek jahan
hati nigah toh chaaron taraf thay virane
hayaat lagzishe-paiham ka naam hai saaqi
labon se jaam laga bhi sakun khuda jaane
vo tak rahe thay hamin hans ke pii gaye aansu
vo sun rahe the hamiin keh sake na afsane
ye aag aur nahin dil ki aag hai nadan
chiragh ho ke na ho jal bujhenge parwane
fareb-e-saaqii-e-mehfil na puchhiye 'majrooh'
sharab ek hai badle huye hain paimane
No comments:
Post a Comment