jism ke neze par[on spear head] jo rakha hai
uss mere sar mein jaane kya kya hai
buut banaaya mere hunar ne mujhe
mere haathon ne mujhko toda hai
bastiyan ujdi hain toh sanaata
meri aawaz mein samaaya hai
main bhi be-jad[without roots] ka ped[tree] hun shayad
mujhko bhi darr hawa se lagta hai
shahr mein kuch imaaraton ke siva
ab mera kaun milne wala hai
kehne-sunne ko kuch nahin baaqi
milna-julna ajab sa lagta hai
No comments:
Post a Comment