Monday, June 1, 2009

nasir ki shayyiri

jurm-e-inkaar ki saza hi de
mere haq mein bhi kuch suna hi de
shauq mein hamen nahin ziyada talab
jo tera naaz-e-kam-nigahii de
tune taaron se shab ki maang bhari
mujhko ek ashq subh-gaahi de
tune banjar zamin ko phuul diye
mujhko ek zakhm dil-kusha hi de
bastion ko diye hain tune chirag
dasht-e-dil ko bhi koi rahi de
umar bhar ki nava-gari ka sila
ae khuda ! koi ham-nava hi de
zard-rau hain warq khyalon ke
ae shab-e-hizr ! kuch siyaahi de
gar majal-e-sukhan nahin “nasir”
lab-e-khamosh se gawahi de

No comments:

Post a Comment

wel come