munh ki baaten sune har koi, dil ke dard ko jaane kaun
aawazon ke bazaaron mein khamoshi pehchane kaun
sadiyon sadiyon vahi tamasha rasta rasta lambi khoz
lekin jab hum mil jaate hain, kho jata hai jaane kaun
vo mera aaina hai main usski parchai hun
mere hi ghar mein rehta hai, mujh jaisa hi jaane kaun
kiran kiran halka sa suraj, palak palak khulati neendein
yunhi dil pighal raha hai, zara zara jaane kaun
No comments:
Post a Comment