Thursday, June 4, 2009

nusrat fateh ali khan ki shayyiri

yaa khuda jism mein jab tak ye meri jaan rahe
tujh pe sadqe, tere mehboob pe qurbaan rahe
kuch rahe ya na rahe, par ye du’aa hai ke “ameen”
niza[death] ke waqt salamat meraa iimaan rahe

taaziim se leta hai Khuda naam-e-muhammad
kya naam hai ae sall-e-alaa naam-e-muhammad
allah kare ussko haraam aatish-e-dozakh
jis shakhs ke dil pe likha ho naam-e-muhammad

jis dil mein muhammad ki muhabbat nahin hoti
uss par kabhii allah ki rehmat nahin hoti
mera ye aqiida hai agar zikr-e-khuda mein
ye naam na shamil ho ibaadat nahin hoti

rab ne farmaaya meri qudrat ki hadd koi nahin
aur mere mehboob ki rahmat ki hadd koi nahin
jab maalak samjhe nahin toh aadmi samjhegaa kya
amina ke laal ki azmat kii hadd koi nahin

khudaa kaa nuur tujh mein huu-ba-huu hai
khuda pinhaan magar tuu ruu-ba-ruu hai
teri azmat ka andaaza ho kis ko
khuda hai aur khuda ke baad tu hai

shams-ud-duha badr-ud-duja teri badi tauqeer hai
surat teri shaah-e-umam, allah ki tasveer hai

allah ne paas bula hi liya
bin dekhe khuda bhi reh na saka

tumhara saani risaalat-mu’aab ho na saka
tumhara koi kahin bhi javaab ho na saka
rasuul aur bhi aaye jahaan mein lekin
koi bhi saahib-e-ummul kitaab ho na saka

meraaj mein Jibriil se kahne lage shaah-e-umam
tune toh dekhe hain hasin, batlaao toh kaise hain hum
rooh-ul-khuda kehne laga, ae naaznin haq ki qasam

mere sohne kamlii vaalaryaa, tera aashiq kul zamana ve
tere husn kii kya taariif karan, rabb aap tera diwana ve

roya shab-e-hijraan mein bahut ashq bahaya
itne mein musavvir ko zaraa rahm jo aaya
naqshe ka’ii tasviiroN ke saamne vo laya
bola, ke ye yusuf hain, ye isaa hain, ye musaa
maine kaha inn mein se kisi par nahin shaida
jab saamne laaya vo shabiih-e-shah-e-vaala
be-saKhta uss waqt zubaan se meri nikla

duniya se kya, roz-e-jaza unnka hai mujhko aasra
main huun ghulam-e-mustafa kaisi meri taqdiir hai
vallail ho ya kah-kashan, zulf-e-nabii par hai fida
iss mein bandhe hain do-jahaan, kitni hasin zanjir hai

dushman bhi kahte hain yahi, kya baat hai sarkaar ki
na aankh mein qahr-o-ghazab, na haath mein shamshir hai

No comments:

Post a Comment

wel come