lehron se darkar nauka par nahin hoti
koshish karne walon ki haar nahin hoti
nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai
chadhti deewaron par, sau bar phisalti hai
mann ka vishwas ragon mein saahas bharta hai,
chadhkar girna, girkar chadhna na akharta hai
aakhir usski mehnat bekar nahin hoti
koshish karne walon ki haar nahin hoti
dubkiyan sindhu mein gotakhor lagata hai
ja ja kar khali haath lautkar aata hai
milte nahi sahaj hi moti gehre paani mein
badhta dugna utsah issi hairani mein
muthi usski khali har bar nahin hoti
koshish karne walon ki haar nahi hoti
asaflta ek chunauti hai, ise sweekar karo
kya kami reh gayi, dekho aur sudhar karo
jab tak na safal ho, neend chain ko tyago tum
sangharsh ka maidan chhodkar mat bhago tum
kuch kiye bina hi jai jaikaar nahin hoti
koshish karne walon ki haar nahin hoti
No comments:
Post a Comment