vo toh khushbu hai hawaaon mein bikhar jayega
masla phool ka hai, phool kidhar jayega
hum toh samjhe thay ke ik zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi ke rag-o-jaan mein utar jayega
vo hawaaon ki tarha khana baja phirta hai
ik jhonka hai jo aayega, guzar jayega
vo jab ayega toh phir usski rafaqat ke liye
mausam-e-gul mere angan mein thehr jayega
akhirash vo bhi kahin reit pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai uthar jayega
mujhko tehzib ke barzukh ka banaya waris
zurm ye bhi mere ajdad ke sar jayega
No comments:
Post a Comment