ghamon ne gher liya hai, mujhe toh kya gham hai
main muskura ke jinuga, teri khushi ke liye
kabhi kabhi tu mujhe yaad kar toh leti hai
sukoon itna sa kaafi hai, zindgi ke liye
yeh waqt jisne, palatkar kabhi nahin dekha
weh waqt ab bhi, muradon ke phal lata hai
veh mod jisne hamen, ajnabi bana daala hai
uss ek mod pe dil, ab bhi gungunata hai
fizayen rukti hain rahon par, jinse hum guzare
ghatayen aaj bhi jhuk kar, salaam karti hain
har ik shab, yeh suna hai falak se kuch pariyaan
wafa ka chaand, hamare hi naam karti hain
yeh mat kaho ki, muhabat se kuch nahi paya
yeh mere geet, mere zakhm-e-dil ki rulaayi
jinhe tarsati rahi, anzuman ki rangini
mujhe mili hai, mukadar se aisi tanhai
No comments:
Post a Comment