seene mein jalan aankon mein tufan sa kyun hai
iss shahr mein har shaks pareshan sa kyun hai
dil hai toh dhadkne ka bahana koi dhundhe
pathar ki tarah behis-o-bejaan sa kyun hai
tanhai ki ye kaun si manzil hai rafeeqon
taa hadh-e-nazar ek beiabaan sa kyun hai
kya koi nayi baat nazar aati hai hum mein
aaina hamen dekh ke hairan sa kyun hai
No comments:
Post a Comment