saubaton ka na dar raha jo tu sharik-e-safar raha
ruuh ki pinhaiyon mein utra mohbbaton ka fakhar raha
musafaten thin taweel beshak par rasta bhulta kaise
andheri raaton mein sang mere tassawur tera rahbar raha
tera karam har sitam pe bhari hayat parwar dard-e-furqat
waffa ka eiqaan diya tha kuch yun jaffa ka dar be asar raha
khyal tere khwab tere habiib mere rafeeq mere
hai raah meri nazar mein har dam jahan se tera guzar raha
No comments:
Post a Comment