sho'la tha jal bujha hun hawaein mujhe na do
main kab ka ja chuka hun sadaein mujhe na do
jo zahar pii chuka hun tumhi ne mujhe diya
ab tum toh zindgi ki duaein mujhe na do
aisa kahin na ho ke palatkar na aa sakun
har baar duur ja ke sadaaein mujhe na do
kab mujhko aiteraf-e-muhabbat na tha 'faraz'
kab maine ye kaha tha sazaein mujhe na do
No comments:
Post a Comment