yaar ko ragbat[desire]-e-agyaar[gaiir] na hone paaye
gul-e-tar[fresh] ko havaz-e-khaar[prey to a thorn] na hone paaye
baag ki sair ko jaate toh ho par yaad rahe
sabza begana hai do-char na hone paaye
jama kar lijiye gamzon ko magar khuubi-e-bazm
bas vahin tak hai ke bazaar na hone paaye
aap jaate toh hain iss bazm mein lekin 'shibli'
haal-e-dil dekhiye izhaar na hone paaye
No comments:
Post a Comment