isska gila nahin ki dua be-asar gayi
ik aah ki thi vo bhi kahin ja ke marr gayi
ae ham-nafas[friend] na puuchh jawaani ka majra
mauj-e-nasiim[gentle breeze] thi, idhar aayi, udhar gayi
daam[net]-e-gham-e-hayat[life] mein uljha gayi ummiid
ham ye samjh rahe thay ki ehsaan kar gayi
iss zindgi se ham ko na duniya mili na deen
taqadeer ka mushahida[inspection] karte guzar gayi
bas itna hosh tha mujhe roz-e-vida-e-dost
virana tha nazar mein jahan tak nazar gayi
har mauj aab-e-sindh huyi waqf-e-pech-o-taab
'mehroom' jab vatan mein hamari khabar gayi
No comments:
Post a Comment