Friday, June 5, 2009

ubaidullah alim ki shayyiri

tere pyar mein ruswa ho kar jaayen kahan dewane log
jaane kya kya puuch rahehain yeh jaane pehchaane log
har lamha ehsaas ki sabaa ruuh mein dhalti jaati hai
zist ka nasha kuch kam ho toh ho aayen mehkhane log
jaise tumhen hamne chaha hai kaun bhala yun chahega
maana aur bohat aayenge tumse pyar jatane log
yun galiyon bazaron mein awara phirte rehte hain
jaise iss duniya mein sabhi aaye ho umar ganwane log
aagay piichhe daayen baayen saaye se lahraate hain
duniya bhi toh dasht-e-bala hai hum hi nahin dweaane log
kaise dukhon ke mausham aaye kaisi aag lagi yaaro
ab sahraaon se laate hain phuulon ke nazraane log
kal maatam be-qimat hoga, aaj innki tauqiir karo
dekho khun-e-jigar se kya kya likhte hain afsaane log

No comments:

Post a Comment

wel come