maine dekha tha unn dinon mein usse
jab woh khilte gulab jaisa tha
ussi ki palkon se neendien chanti thi
usska lehja saraab jaisa tha
usski zulfon se bhegti thi ghata
usska rukh mahtaab jaisa tha
log padhte thay khad-o-khaal usske
woh adab ki kitaab jaisa tha
bolta tha zubaan khusbhu ki
log sunte thay dhadkanon mein usse
maine dekha tha unn dinon mein usse
sari ankhein thi aaine usske
sare chehron mein intekhab tha woh
sab se ghul mil ke ajnabi rehna
ek dariya-numa sarab tha woh
khwab yeh hai woh haqiqat tha
dil ki dharti pe aasman ki tarah
surat saaya-o-sahab tha woh
apni nindein usski nazar hoye
maine paya tha ratjagon mein usse
maine dekha tha unn dinon mein usse
jab woh hass hass ke baat karta tha
dil ke kheme mein raat karta tha
rang padte thay anchlon mein usse
yeh magar der ki kahani hai
yeh magar duur ka fasana hai
iss ke mere milap mein hayaal
ab toh sadyoon bhara zamana hai
ab yun hai ke haal apna bhi
dashte-hizran ki shaam jaisa hai
kya khabar inn dinon mein woh kaisa hai
maine dekha tha unn dinon mein usse ........
No comments:
Post a Comment