azaab-e-deed mein ankhen lahu lahu kar ke
main sharm-saar hua teri justju kar ke
suna hai shehr mein zakhmi dilon ka mela hai
chalen gaye hum bhi magar pairhan rafuu kar ke
musaaft-e-shab-e-hijraan ke baad bhed khula ?
hawa dukhi hai chiraagon ki aabru kar ke
zamin ki pyas ussi ke lahu ko chaat gayi
vo khush hua tha samandar ko aabjoo kar ke
ye kis ne hum se lahoo ka kharaah phir manga ?
abhi toh sooye thay maqtal ko surkharu kar ke
ujad ruut ko gulabi banaye rakhti hai
hamari aankh teri deed se wazoo kar ke
koi toh habs-e-hawa se ye puchta 'mohsin'
mila hai kya usse kalion ko be-namu kar ke
No comments:
Post a Comment