woh khaloos tha ke khumar tha
woh junoon tha ke saraab tha
mujhe sochne mein zamana laga
mujhe manzilon ne bhula diya
mujhey jis masiah pe maan tha
mujhe ussne sooli chadha diya
kai humsafar kai rahguzar
mujhe raste mein mile magar
meri tishnagi kuch aur hai
meri justaju koi aur hai
woh jo roshni ki tarha badhe
magar ansuon mein sama sake
jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbton ki ravaytein
lahoo ki bali se sanwaar de
mujhe uss wafa ki talash hai
mujhe uss wafa ki talash hai
magar isd jahan-e-kharab mein
yahan khawaishon ke saraab mein
mujhr kaun de aisi waffa
mein kahan se laoon woh waffa
innhi uljhanon mein ghiri hui hun
yehi sochtii main chali gayi
No comments:
Post a Comment