saqiya chod na khali paimane ko
itni hi de de ke ho jaaye qasam khane ko
saaqi ye ahed-e-shikan iss mein bigdna kaisa
koi paimaan ko tode koi paimaane ko
kuch toh ho jaati hai kam sifat-e-tauba shikani
pii ke hum tod diya karte hain paimaane ko
jitne munh utni hi baaten hain, badhe kyun na junoon
sab ne diwana bana rakha hai diwaane ko
No comments:
Post a Comment