iss zamane se na hum koi gila rakhenge
dil lagayeinge toh na shart-e-wafa rakhenge
na dikhayenge kabhi dil pe lage zakhm unnhen
dard uthege magar dil ko dabba rakhenge
jaan de denge agar ek ishara kar de
hum usse apne liye bhi na bacha rakhenge
sab hata denge teri raah ki rukaawat humdam
ghar ke darwaaze ko har waqt khulla rakhenge
unnki har baat ko bhoole se na bhoolenge kabhi
unnki yaadon ko bhi seene se laga rakhenge
toot bhi jayegi umeed jo tere aane ki
ek diya phir bhi hawaon mein jala rakhenge
No comments:
Post a Comment