ye ab khula hai ke koi bhi manzar mera na tha
main jis mein reh raha tha vahi ghar mera na tha
main jis ko ek umar sambhaale phira kiya
mitti bata rahi vo paikar mera na tha
mauj-e-hawa-e-shahr-e-muqddar jawab de
dariya mere na thay ki samandar mera na tha
phir bhi toh sang_saar kiye ja raha hun main
kehte hain naam tak sar-e-mahzar mera na tha
sab log apne apne kabilon ke saath thay
ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha
No comments:
Post a Comment