Sunday, June 21, 2009

unknown

uddas hun mein chirag-e-mazar ki surat
har aarzu ka sitara chamak ke toot gaya
naseeb suna hai anjaan rahguzar ki tarha
gulon ke sog mein fasl-e-bahar ho jaise
ummid roti hai gham ki nidhal baanhon mein
kisi ki yaad mein dil beqarar ho jaise
talab ki raah mein na_kamiyon ki manzil hai
lagi hai aag abhi hasaraton ke phoolon mein
jawan khayal pe mayyusiyon ke saaye hain
hayat jhoolti hai hadson ke jhoolon mein
junoon ke haath mein kuch ajnabi si yadein hain
musarraton ki har ik raat dhalti jaati hai
tasaw'uraat pe hai wehshaton ki virani
ghamon ki dhoop se jaan tak pighalti jaati hai
uddas hun main chirag-e-mazar ki surat
har aarzu ka sitara chamak ke toot gaya

No comments:

Post a Comment

wel come