Sunday, June 21, 2009

unknown

hamari qismat mein kya likha hai
sitara muqfil se jas mila hai
talash karti hain jisko ankhein
vo chehra jaane kahan chupa hai
usse zamiin ka pata ho kaise
bulandiyon mein jo kho gaya hai
udasiyon ka ye dil hai mahur
na tumse shikwa na kuch gila hai
chupa raha hun main zakhm-e-jaan ko
magar ye chehra toh aiina hai
bikhar raha hun jo lamha lamha
tumhari chahat ka ye sila hai
bujha diya hai chirag apna
mohabbton mein ye inteha hai

No comments:

Post a Comment

wel come