Saturday, June 20, 2009

unknown

ek aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai
hairat bhi ye hai ke kya jaaniye kya hai
sau bar jala hai toh ye sau bar bana hai
ham sokhta jaanon ka nasheman bhi bala hai
honton pe tabssum hai ke ek barq-e-bala hai
aankhon ka ishara hai ki sailab-e-fana hai
sunta hun bade gaur se afsana-e-hasti
kuch khwab hai kuch asl hai kuch tarz-e-ada hai
hai tere tasvuur se yahan noor ki barish
ye jaan-e-hazin hai ke shabistan-e-hira hai

No comments:

Post a Comment

wel come