
raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain
kyun nahin badlte dil jo taqdeerein badal jaati hain
dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke
aankhon ki nami chupa kar, nazrein badal jaati hain
ruuh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain
bahar aur andar ki kis tarah fizaein badal jaati hain
koi hota hai rafta rafta zindagi se duur, bohot duur
haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!
No comments:
Post a Comment