Monday, June 1, 2009

unknown

laakh ab yaad ki, ehsaas ki pinhai mile
in khalaaon mein kahan zism si ranayi mile
itne arzaan toh kabhi humna huye thay ab tak
jis taraf jaayen, wahin apni shanaa'sai mile
bas gaye hain vo khad-o-khaal nazar mein aise
ab toh har shakal mein usski shakal ki parchayi mile
mehfilen itni badhi, bhool gaye apna wajood
ab toh kehte hain ghadi bhar hi ko tanhai mile
inn ke honton se bhi meri hi kahani ubhare
inn dhadkon ko agar quwwat-e-goyaai mile
kitne khali huye daman-e-nazar, jayab-e-khayal
ab toh dhoondhe se bhi yaadon ki na parchayi mile
koi bhi ho na saka mere bikharne mein shareek
'jaan' is shahr mein sab log tamashai mile

No comments:

Post a Comment

wel come