Thursday, June 4, 2009

unknown

kahani mein zara si bewafai mangte rehna
muhbbat ki aseeri se behai mangte rehna
bohat aasan nahi hota, jana judai mangte rehna
zara sa ishq kar lena, zara si aankh bhar lena
phir uss ke bab mein saari khudai mante rehta
kabhi surkh honto par dua ka harf rakh dena
kabhi weshatth mein uss ki narsayi mangte rehna
waffaon ki tasalsol se muhbbat ruuth jaati hau
iss liye, kahani mein zara si bewaffai mangte rehna
ajab hai weshatt'te jaan bhi ke adat hogi dil ki
sokut'te sham mein gham se hum'navayi mangte rehna
kabhi bache ke nanhe haath par tetli ke par rakhna
aur kabhi phir uss ke rang se rehayi mangte rehna

No comments:

Post a Comment

wel come