Tuesday, June 2, 2009

unknown


jhalkte hai unn aankho mein maikhane kai baar
chhalkte hai unn aankho se paimaane kai hazar
panpte hai unn aankho mein aashiq beqarar
khilte hai unnhe dekh kar ye gulshan ye gul-e-gulzar
daras ko unn aankhon ke taras jaati hoon mein
karti rehti hoon har dum bas unn aankho ka intezar
ab toh na soch baki hai na samajh baki hai mujh mein
kar jo nahi sakti mein unn aankho ka ikhtiyaar
hothon par sajte rehte hai aksar kuch tanha tanha naghme
unn aankho ke bina ab aata hai na chaiin aur na hi qaraar
aawaam mein zaya karti hoon mein soone se ye lamhe
unn aankho ke bina nindiya bhi aane se karti hai inkaar
kabhie meri khabar na mile toh kehna unnko,vo padh le zara akhbaar
vo jo na mile to nikla hoga kahin meri maut ka bhi ishtihaar

No comments:

Post a Comment

wel come