nigah-e-mast-e-saaqi ka salam aaya toh kya hoga
agar phir tark-e-tauba ka payam aaya toh kya hoga
haram wale toh puchhenge bata tu kis ka banda hai
khuda se pahale lab par unnka naam aaya toh kya hoga
mujhe manzuur unnse main na bolunga magar naseh
agar unnki nigahon ka salam aaya toh kya hoga
mujhe tark-e-talab manzuur lekin ye toh batala do
koi khud hi liye haathon mein jaam aaya toh kya hoga
muhabbat ke liye tark-e-taalluq hi zuruuri ho
muhbbat mein agar aisa maqam aaya toh kya hoga
nigah-e-mast-e-saaqi ka salam aaya toh kya hoga
agar phir tark-e-tauba ka payaam aaya toh kya hoga
No comments:
Post a Comment