Thursday, June 4, 2009

unknown

insaniyat toh marr gayi…insaan baqi hai
achchhayon ka kuch kuch…nishaan baqi hai

be-hissi ke aazabon se tang aa ke bilaakhir
makeen kuuch kar gaye…makaan baqi hai

kitni hi mushkilon se guzerne ke ba-wajood
lagta abhi bhi hai ke…. imtehaan baqi hai

kuch bhi toh na chhoda..fitrat ke kaarkhaane mein
zameen tu sab ne bech di…aasmaan baqi hai

No comments:

Post a Comment

wel come