aql ko sog maar dete hain ishq ke rog maar dete hain
aap khud toh koi nahi marta arre dosre log maar dete hain
kijiye kis raste gundashta zannat ki talaash
jab ke matti ke khilono se behal jaate hai log
baal bikhraye tuuti kabron par jab koi mehjabeen roti hai
mujhko aksar khayal aata hai arre maut kitni hasiin hoti hai
ye log kehte hai ke parbat se nikal kar chashme
kisi khoyi hui manzil ka pata dete hain
aur sar shaam hawa uunke liye chalti hai
jinke mehboob bohat duur kahin rehte hain
mujhe aazmane wale mujhe aazma ke roye
meri daastan-e-hasrat vo suna suna ke roye
koi aisa ahl-e-dil ho fasana-e-muhbbat
jise main suna ke roaun, mujhe vo suna ke roye
jo sunai anzuman mein shab-e-gham ki aap beeti
meri koi bhi nahi hai jo gale laga ke roye
mere paas se guzar kar meri baat tak na poochi
main ye kaise maan jaaun ke vo duur ja ke roye
No comments:
Post a Comment