Saturday, June 6, 2009

unknown

gham-e-zindgi tera sukriya, tere faiz hi se ye haal hai
wahi subah-o-shaam ki uljhane wahi raat din ka wabal hai
na chman mein boo-e-sanam rahi, naa hi rang lala-o-gul raha
tu khafa khafa sa hai waqayi ke ye sirf mera khayal hai
isse kaise zist kahe koi ghahe aah-dil ghahe chasm-e-num
wahi raat din ki museebatein wahi mah hai wahi saal hai
main ghamon se hun jo yun mutmeen toh bura na maniye toh main kahon
tere husn ka nahi faiz kuch meri aashqui ka kamaal hai
hai ye aag kaisi lagi hui mere dil ko aaj hua hai kya
jo hai gham toh hai ghum-e-aarzu agar hai toh fikr-e-visaal hai
koi kaash mujhko bata sake reh-o-rasm ishq ki uljhane
vo kahe toh baat pate ki hai main kahu toh khaam khayal hai
ye bata ke kiya hai tujhe hua, paye ishq sarwar ghumzada
na vo mastiyan na vo shokhiyan na vo haal hai na vo qaal hai

No comments:

Post a Comment

wel come