Monday, June 8, 2009

unknown


woh aankh ke kehne pe safaarat nahi karta
dil hai kabhi uss ki himayat nahi karta
kis baat pe rutha hai pata ho toh manaon
woh rooth toh jaata hai shikayat nahi karta
har baat mein hain usske sau sau matlab
woh baat toh karta hai wazahat nahi karta
uss shaks ke vaadon mein waffa aaye kidhar se
vaade bhi jo raah-e-muhabat nahi karta
mein uss se ruth kar jaati nahi ke aksar
roothon toh manane ki bhi zehmat nahi karta
main usske liye saare zamane se buri hun
woh shaks jo khud se bhi bagawat nahi karta !!

No comments:

Post a Comment

wel come