Thursday, June 4, 2009

unknown

ussne kaha sun
ahed nibhane ki khatir mat aana
ahad nibhane wale aksar majboori ya
mahajoori ki thakan se lautaa karte hain
tum jaao aur dariya dariya pyaas bujhao
jin aankhon mein duubo
jis dil mein bhi utaro
meri talab awaaz na degi
lekin jab meri chahat aur meri khwahish ki lau
itani tez aur itni uunchi ho jaaye
jab dil roa de
tab laut aana ....

No comments:

Post a Comment

wel come