Friday, June 5, 2009

unknown

usse apne fard ki fikar na thi, vo jo mera wakif-e-haal tha...
vo jo usski subhai uruj thi vohi mera waqt-e-zawal tha
kahan jaoge mujhe chod ke main ye puch puch ker thak gaya...
vo jawab mujhe na de saka vo toh khud sarapa-e-sawal tha
vo mila toh sadiyon ke baad bhi mere labon pe koi gila na tha..
usse meri chup na rula diya jise guftago mein kamal tha
vo mujhse mil kar roa diya mujhe vo fakat itna na keh saka...
jise jana tha zindagi vo to sirf waham-o- khayal tha

No comments:

Post a Comment

wel come