gar nagawar thi meri ye haalat, toh kyon kaha tha laut jaane ko
maikada lage hai jaanat, aur saaqi bhi nahin kehta jaane ko
waaiz jab aaye humein rehgujar-e-khuld dikhlaane ko
humaare saath hi bharte hain ab, wo bhi apne paimaane ko
apne aatish-e-husn se kuch iss tarah jalaaya parwaane ko
maikade mein bula ke sabko,tumse bacha raha hoon jamaane ko
qaasid-e-firdaus ho ke bas behis nikla khuda ko sunaane ko
surror-e-maikada chodd ke koi taiyyar nahin jannat aane ko
bad_khoon-e-khuda aagahi nahin,koi jaaye usse bataane ko
ushqaaq banaye to banaye,kisne kaha tha maikhana banane ko
No comments:
Post a Comment