rah-e-ashiqui ke maare rah-e-aam tak na pahunche
kabhi subah tak na pahunche kabhi shaam tak na pahunche
mujhe mast agar bana de ye nigah-e-mast teri
mera haath kya nazar bhi kabhi jaam tak na pahunche
mujhe apni bekasi ka nahin gham khayaal ye hai
kahin baat badhte badhte tere naam tak na pahunche
jo ye daur bevafa hai tera gham to mustaqil ho
vo hayaat-e-aashiqui kya jo davaam tak na pahunche
ye anokhi barhami hai ke na bhule se labon par
basabiil-e-tazkira bhi mere naam tak na pahunche
kahin is tarah bhi ruuthe na kisi se koi yaron
ke payaam tak na aaye ke salaam tak na pahunche ......
No comments:
Post a Comment