Friday, June 5, 2009

unknown

dhoondoge agar mulkon mulkon milne ke nahin, naayab hain hum
taabir hai jiski hasrat-o-gam e hum nafson voh khwaab hain hum
aye dard pata kuch tu hi bata ab tak ye moamma hal na hua
hum mein hai dil-e-betaab nihaan ya aap dil-e-betab hain hum
main hairat-o-hasrat ka maara khamosh khada hun saahil par
daryaa-e-mohabat kehta hai aa kuch bhi nahin paayab hain hum
lakhon hi musaafir chalte hain manzil pe pohanchte hain do ek
aye ahl-e-zamaana qadr karo nayaab na ho kamyaab hain hum
murgaan-e-qafas ko phuulon ne aye shaad ye kehla bheja hai
aa jaao jo tumko aana hai aise mein bhi shaadab hain hum

No comments:

Post a Comment

wel come