meri soch musafir mera qalaam rahgir hai
mera andaz-e-bayan mera zoq-e-aagahi ki tafseer hai
khaak hun manzil bhi meri khak magar sach hai
duniya kuch nahi faqat mere khwabon ki tafseer hai
main raund gaya hota kab se dar-e-wehshat
meri wafa ,agar ,ere paanv ki zanjeer hai
mere andaz-e-bayan se nalayan na hona ke
mera sach hi mera mujasem meri tasveer hai
bhatkti chahat par pehre bithana kab aasan hua
ye chahat ye ulfat toh zindgi ka safar hai
mere warson mein warset ka zikr hai asfer
kya batoon ? chahat poonji, chahat hi jagir hai ....
No comments:
Post a Comment