Monday, June 1, 2009

unknown

da'waa hamen toh jurat-e-izhar ka bhi hai
apni garaz na ho toh koi bolta bhi hai
jalta hai zehan kashf-e-haq'a-ek se raat din
iss aagahi se aur badi kuch saza bhi hai
shehron mein zindgi ka bohat shor hai magar
mafhoom jis mein ho koi aisi sada bhi hai
lamhon mein hain aseer, giraftaar-e-rang hain
yaaro ! hisaar-e-waqt kabhi todna bhi hai
taarik raston pe hain chup-chap muntzir
aise kisi pe roshni ka dar khula bhi hai
hum toot'te hain'jaan' simat'te nahi kabhi
iss intishaar-e-zaat ki kuch inteha bhi hai

No comments:

Post a Comment

wel come