dil main jab teri lagan raqs kiya karti thi
meri har saans main khushbu si basa karti thi
ab toh mehfil se bhi hota nahi kuch gham ka ilaaj
pehle tanhai bhi dukh baant liya karti thi
ab jo raqsaan hai kai rang bhare chehron mein
yahi mitti kabhi bekar udda karti thi
rang ke jaal hi milte hain jidhar jata hun
roshni yun na mujhe tang kiya karti thi
ab mujhe chandni kuch bhi toh nahi kehti hai
kabhi ye tere sandese bhi diya karti thi
kis qadar piyar se ye ped bulate thay mujhe
kis tarha chhaaon tera zikar kiya karti thi
ye dar-o-baam kabhi sham lipatt'te thay mujhe
har gali bdh ke qadam chuum liya karti thi
No comments:
Post a Comment