kahan thay aap, zamane ke baad aaye ho
mere shbab ke jaane ke baad aaye ho
apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
rukh hawaon ka jidhar ka hai, udhar ke hum hai
pehle har cheez thi apni, magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi dusre ghar ke hum hai
waqt ke saath hai, mitti ka safar sadiyon se
kisko maloom kahan ke hain, kidhar ke hum hai
chalte rehte hain, ke chalna hai musafir ka naseeb
sochte rehte hain, kis rahguzar ke hum hai
No comments:
Post a Comment