Friday, June 5, 2009

unknown

apni marzi se juda tu bhi nahi main bhi nahi
shayad ab ke bewaffa tu bhi nahin main bhi nahi
dekhna hum ek din gard-e-safar ho jayenge
raston se aashna tu bhi nahi main bhi nahi
gardish-e-halaat se bas kat gaye hain raste
qabil-e-kaid-o-saza tu bhi nahin main bhi nahi
kya khabar thi iss kadar na-aashna ho jayenge
aaj kal pehchanta tu bhi nahi main bhi nahi
faslon se bhi guzarna phir zara sa dekhna
aisa lagta hai khafa tu bhi nahi main bhi nahi
ek-duje ki bahut taarif kerna jabaja
maan le dil ka bura tu bhi nahi main bhi nahi

No comments:

Post a Comment

wel come