tu kisi aur ki jaagir hai ae jaan-e-gazal
log tuffan utha denge mere saath na chal
pehle haq tha teri chahat ke chaman par mera
pehle haq tha tere khusbhu-e-badan par mera
ab mera pyar tere pyar ka haq-daar nahin
main tere gesuu-o-rukhsaar ka haq-daar nahin
ab kisi aur ke shaanon pe hai tera aanchal
main tere pyar se ghar apna basaaun kaise
main teri maang sitaron se sajaaun kaise
meri kismat mein nahin pyar ki khusbhu shayad
mere hathon ki lakeron mein nahin tu shayad
apni taqdeer bana mera muqaddar na badal
mujhse kehti hai ye khamosh nigahen teri
meri parwaz se unnchi hain panaahen teri
aur gairat-e-ehsaas pe sharminda hun
ab kisi aur ki baahon mein hai bahen teri
ab kahan mera thikanaa hai kahan tera mehal
No comments:
Post a Comment