vo bhi kyaa log thay aasaan thi raahen jin ki
band aankhen kiye ik simt chale jaate thay
aql-o-dil khwab-o-haqiiqat ki na uljhan na khalish[pain]
mukhtalif[different types] jalwe nigahon ko na behlate thay
ishq saada bhi tha bekhud bhi junoon_pesha bhi
husn ko apni adaaon pe hijaab aata tha
phuul khilte thay toh phuulon mein nasha hota tha
raat dhalti thi toh shiishon pe shabab aata tha
chandni kaif_asar[inducing intoxication] ruuh_afza hoti thi
abr aata tha toh bad_mast bhi ho jaate thay
din mein shorish[tumult] bhi hua karti thi hangame bhi
raat ki gaud mein munh dhanp ke so jaate thay
narm rau[gently moving] waqt ke dhaare pe safiine thay ravaan
saahil-o-bahr ke aa’iin[natural way] na badlte thay kabhi
nakhudaon pe bharosa tha muqaddar pe yaqiin
chadar-e-aab se tufan na ubalte thay kabhi
ham ke tufanon ke paale bhi sataye bhi hain
barq[lightning]-o-baaran[storm] mein vo hi shamen jalaayen kaise
ye jo aatish_kada[conflagration]] duniya mein bhadak utha hai
aansuon se usse har baar bujhaayen kaise
kar diya barq-o-bukharaat[fever] ne mahashar [day of judgement] barpa
apne daftar mein litaafat[elegance] ke siva kuch bhi nahin
ghir gaye waqt ki beraham kashaakash[struggle] mein magar
paas tahaziib ki daulat ke siva kuch bhi nahin
ye andhera ye talatum ye hawaaon ka kharosh[loud noice/cry]
iss mein taaron ki subuk narm ziya[shine] kya karti
talkhi-e-ziist[bitterness of reality/life] se kadwa hua ashiq ka mizaaj
nigah-e-yaar ki masoom ada kya karti
safar aasan tha toh manzil bhi badi raushan thi
aaj kis darja pur_asaraar hain raahein apni
kitni parchaiyan aati hain tajali[[bright light] ban kar
kitne jalwon se ulajhti hain nigaahen apni
No comments:
Post a Comment