ab jo ik hasrat-e-jawani hai
umar-e-rafta ki ye nishani hai
khaak thi maujazan jahaan mein, aur
hamko dhoka ye tha ke paani hai
giriya[weeping] har waqt ka nahin behech[without reason]
dil mein koi gham-e-nihaani hai
ham qafas zaad qaidii hain varna
taa chaman parafashaani hai
yaan huye 'meer' ham baraabar-e-khaak
vaan wahi naaz-o-sargiraani hai
No comments:
Post a Comment